Saturday, July 1, 2017

Bitcoin Kya Hai Ye Janiye Hindi Me....

Hindi Me Janiye Ki Ye Bitcoin Kya Hai ???

Bitcoin 1 Digital Asset Aur 1 Payment System Hai. Ise Decentralized Digital Currency Kaha Jata Hai. Iska
Aavishkar Satoshi Nakamoto Ne 2009 Me Kiya Tha. Bitcoin Ek Aisi Currency Hai Jise Hum Online

Dekh Sakte Hai Aur Iska Use Online Kahin Par Bhi Kar Sakte Hai. Bitcoin Ki Khasiyat Yahi Hai Ki Ispe

Kisi Bhi Desh Ya Company Ka Adhikar Nahi Hai. Aam Shabdo Me Bole To Iska Koi Malik Nahi Hai Aur Ise
Koi Band Nahi Kar Sakta. Bitcoin Ka Pura System Per to per Chalta Hai Yaani Ki Iska Istemal Do Logo

Ke Bich Sidha Hota Hai Ispe Kisi Bhi Bank Ya Third Party Agency Ka Dakhal Nahi Hota Hai. Bitcoin Puri

Tarah Se Secure Hai Aur Ise Use Karna Bhi Kafi Aasan Hai.........


BitCoin Ka Matlab Kya Hai ???

Agar Koi Banda Bitcoin Payment Ko Blogchain Par Record Karne Aur Nazar Rakhne Me Help Karta Hai To Use Bitcoin Mining Kaha Jata Hai. Jo Log Aapne Computing Power Se Aisa Karte Hai Unhe Minners Kaha Jata Hai Aur Miners Ko Unke Kaam Ke Badle Bitcoin Milte Hai. Abhi Har Ek Minners Ko 10 Minute Ke 25 Bitcoin Diye Jate Hai. Jahir Si Baat Hai Ki Ye Rakam Bahut Hoti Hai............


BitCoin K Fayde Kya Hai ???

Agar aap India se belong kar rahe hai to Bitcoin me paise rakhna apke liye bahut faydemand ho sakta hai jaise k..........



  • Abhi ke samay me agar 1 Bitcoin ko Indian Rupees me convert kare to 71000 rupess (1000$) hota hai. Aur iski kimat lagatar badhti hi jar hi hai. Aane wale 2 saalo me iski kimat 6 Lac ho sakti hai. Yani ki agar abhi apke paas 1 Bitcoin hai to 2 Saalo ke baad uski kimat 6 Lac hogi. Yani ki isme agar aap paise rakhe to apke paise badhte jayenge.
  • Bitcoin digital Currency hai aur ispe aagar aap apne paise rakhte hai to koi bhi ise naa to dekh sakta hai aur naa hi kisi ko pata hi chalega. Yani ki agar aap kisi bank me paise rakhte hai to apki limit hoti hai aur apko tax bhi dena hota hai lekin isme apko koi tax nahi dena hoga aur apki Currency bhi jaldi badhti jayegi.
  • Bitcoin me do longo ke bich transaction hota hai jiske karan iska istemal karna aur bhi asan hota hai. Bitcoin pure word me chalne wali currency hai jiske karan aap World ke kisi bhi Person ko paise bhej sakte hai.
  • Bitcoin ek Hiden Currency bhi hai jiske karan koi bhi ye nahi jan sakta ki hamare paas kitne paise hai. Yani ki hum jitene chahe utne paise rakh sakte hai.
  • Bitcoin Wallet bahut Secure hoti hai jiske karan koi bhi is se Bitcoin chori nahi kar sakta. Iski Security ke liye Blockchain World ke best Programers ko bitcoins Deti hai.
Share:

1 comment: