Tuesday, January 24, 2017

Google Adsense Ki Ads Blogger Blog Me Kaise Lagaye Full Guide

www.hindimehelpguru.com

Dosto aaj ke time me har koi apna blog bana rha hai jis pe koi apni bate shear kar rha hai to koi helping post likh rha hai or aap ye post padh rahe hai to is ka matlab aap ka bhi blog hai jis pe aap post (article) logo se shear kar te hai or ab aap apne blog se paise bhi kamana chahte hai to aaj is post mai aap ko is ki puri jankari dunga.
Blogger Ka Blog Kaise Banate Hai

Dosto agar aap apne blog se paise kamana chahte hai to us ke liye aap ko apne blog me kuch ads lagani hongi us ke bad hi aap apne blog se paise kama paye ge apne blog pe ads lagane ke liye subse best company Google Adsense hai jis se hum aasani se bahut paise kama sakte hai or puri duniya me jo bhi blog's ke owenr hai wo sab mostly Google Adsense ko hi select kar te hai kyo ki aap to jante hi hai Google ek trusted company hai or is ke sath kam karne me bhi koi problem nhi hai aaj is post mai aap ko batunga ki aap kaise Adsense ki ads apne blog pe laga sakte hai is ke liye aap ko bus Google Adsense pe apna account banana hai jo ki free me hai banta hai to aap ne abhi tak Adsense account nhi banaya hai to pehle banalen.

Google Adsense Account Kaise Banaye

Google Adsense Ki Ads Kaise Banaye Apne Blog Ke Liye

Dosto hume sabse pehle apne Adsense account me jana hai or jo side me options hai us me My Ads ke option pe click kar hai. Or ab jo aap ke samne page kula hai us me upar New Ad Unit ke naam se option hai us pe click kar na hai.
Ab jo page kula hai Ad Unit ka is me hume apne blog ke liye ad banani hai.
  1. Name - apne blog ka name.
  2. Ad Size - is me aap Recommended pe hi rakhe or nhiche jo ads size show ho rhi hai us me Automatic Size Responsive pe hi rakhe.
  3. Ad Type - is me Text & display ads select kare.
  4. Text ad style - is ko aap Default hi rehne deen. 
  5. Custom Channel - is pe click kar ke apne blog ka koi label select kare jaise aap apne blog pe kis bare me tips shear kar te hai.
Or ab Save and get code ke option pe click kar deen.
Ab humne apni Ads ka code bana liya hai ab hume ye code apne blog me add kar na hai.

Ad Ke Code Ko Apne Blog Me Kaise Lagaye

Sab se pehle apne blog ke Dashboard Pe jaye or fir Layout pe click kar ke sidebar me Add a Gedget pe click kare or fir HTML/Java script select kare.
Ab jo HTML/Java script form aaya hai is me.
1. Title - me Adsense likhe. 
2. Content - is me apni AD ka code Paste kar deen.
3. Save pe click kar deen.
Or last option apne layout ki setting ko save kar deen Save Arrangement pe click kar ke.
Share:

Related Posts:

2 comments:

  1. Google My Business Best Free Website Traffic Generator https://googlewebinfo55.altervista.org/google-my-business-best-free-website-traffic-generator/

    ReplyDelete
  2. Google My Business Best Free Website Traffic Generator https://googlewebinfo55.altervista.org/google-my-business-best-free-website-traffic-generator/

    ReplyDelete