Wednesday, January 25, 2017

Aadhar Card par Name, date of birth, email, mobile number and address online correction karne ke liye kaise apply kare

Dear Friends aaj mai apko aadhar Card me Name, date of birth, email id,mobile number, address etc kaise change karte hai isaki Jankari apko dene ja raha hu.

Aadhar Card par Name, mobile number, date of birth, address change karna bahut hi simple kam hai aap hamare bataye step ko follow karke aadhar Card par correction kar sakte hai. Wo bhi online ghar baidhe  apne hi computer se. 


Aadhar Card par correction kyo kare-

Friends mai apko bata du hota ye hai ki kabhi kabhi jab ham aadhar Card banawane ke liye camp par jate hai ya jaha kahi bhi ban rahe hai waha jate hai to waha itani jyada bheed hoti hai ki aadhar Card banane wale log kuchh galat Typing kar dete hai jisase hamre aadhar Card me Name, address, mobile number ya aur kuchh galat enter ho jata hai to ab ham yaha apko batayenge ki ese kaise solve kare matlab aadhar Card par Name, address wagerah kaise change kare.
########

Also Read-
*Internet se adhar card kaise download kare
*Vodafone me free 100 mb data kaise paye
########
*Slow speed me gmail kaise khole
*Delete memory ka data recover kaise kare
*Friend ki internet se loction kaise pata kare
*Up board ka result kaise dekhe
*Free sms kaise send kare

Aadhar Card par online correction kaise kare - 

Aadhar Card par online correction karne ke liye apke pass computer hona chahiye agar nahi hai to koi problem nahi cyber cafe me jakar bhi online aadhar correction ke liye apply kar sakte hai 
Step 1 -  Sabse pahle apko apne computer me aadhar Card ki website par jana hoga. 
Step 2- Ab apko 'Update Aadhar Data'  par click karna hai.
Step 3- ab apke samne ak new window open hogi usame apko sabse niche 'To submit your update/correction request online please click here' ye likha hoga wahi apko click here ke option par click kare.
Step 4- ab apko jo next window open hogi usame apne 12 digit ka aadhar number enter kare aur usake niche ak code likha hoga use usake just niche enter kare fir 'send otp' par click kare. 
Step 5- ab apke mobile number par ak sms ayega usame 6 digit ka ek code hoga use enter kare aur login par click kare.
Step 6- ab next window open hogi usame jo apko correction karna ho (name,email,mobile number,address,date of birth ) usako select kare.
aur 'submit' par click kare baki ki step aap kudh complete kar sakte hai wo bahut jyada kathin nahi hai aap try kare. agar fir bhi apko step complete karne me koi problem aaye to comment karke hamse puchh sakte hai. 
to ab aap jan chuke hai ki adhar card me nam, address etc kaise change karte hai. 

Share:

Related Posts:

1 comment:

  1. Very Nice Information. Thanks!Aadhaar number is a 12-digit random number issued by the UIDAI to the residents of India.If someone wants to know how to do aadhar card address change click here to do it online.

    ReplyDelete